Akkad Bakkad
Bansi Baje Chokaal KiYeh Flute Hai?
Jee...!
Karay Na Koi Bhaid
Aray Chota Bara Na Phir Dekhain
Haey Bhaiyya, Yeh Kya Keh Diya
Band Kardain Saary Chaid
Chaid? Hmmm
Chor Baazaar To Hai Yeh Duniya Saari, Aarrhay Terrhay Hain Sab Ke Rule - 2
Jeete Hain Apni Hi Sharton Pe Ham Bhi, Apna To Hai Bas Yeh Usool
Akkarr Bakkarr Bambe Bo, Assi Nawwe Poore Sau - 2
Sau Mein Laga Dhaaga, Chor Nikal Ke Bhaaga
Gili Gili Ya Aa, Gili Gili Ya Aa
Gili Gili Ya Aa, Blip Blip Blip Blip Blip Blip
- 4
Khaate Hain Ham Bhi Mehnat Ki Roti, Haathon Mein Apne Hunar Hai
Duniya Kary To Kamaaii Hai, Ham Kya Saale Cheater Hain
- 4
Ham Kya Zamaane Se Nayaare Hain, Itne Haraami To Saare Hain - 2
Karte Hain Kaam Aur Hojaate Gol
Akkarr Bakkarr Bambe Bo, Assi Nawwe Poore Sau - 2
Sau Mein Laga Dhaaga, Aey Dekh Dekh, Chor Nikal Ke Bhaaga
Gili Gili Ya Aa, Gili Gili Ya Aa
Gili Gili Ya Aa, Blip Blip Blip Blip Blip Blip
- 4
Paisa Jo Jaata Hai Jaeyga, Yeh Kis Ka Ho Ke Tika Hai
Ham Ne To Bas Bhaari Jaibon Ka Bojh Halka Kiya Hai
- 4
Paisa Jab Chal Ke Aata Hai, Tere Baap Ka Phir Kya Jaata Hai - 2
Haathon Mein Tension Nahi Lene Ka, Bol
Akkarr Bakkarr Bambe Bo, Assi Nawwe Poore Sau - 2
Sau Mein Laga Dhaaga, Chor Nikal Ke Bhaaga
Gili Gili Ya Aa, Gili Gili Ya Aa
Gili Gili Ya Aa, Blip Blip Blip Blip Blip Blip
.....
Maaldaar Ki Jeb
Maaldaar Ki Jeb, Ghareeb Ki Zindagi Aur Patang
Kat Gaii, Haan Kat Gaii, Kat Gaii, Kat Gaii
- 4
Dekh Oopar Chirriya Sone Ki Aur Neeche Bajem Dang
Kat Gaii, Haan Kat Gaii, Kat Gaii, Kat Gaii
Maaldaar Ki Jeb, Ghareeb Ki Zindagi Aur Patang
Kat Gaii, Haan Kat Gaii, Kat Gaii, Kat Gaii
Teri Zindagi Baraf Ka Gola, Choos Le Beta, Dhoop Bari Hai
Raat Raat Ka Honeymoon Hai, Subah To Sab Ki Khaat Khari Hai
- 4
Raat Ne Kitne Sapne Torrey, Torrey Kaii Palang
Kat Gaii, Haan Kat Gaii, Kat Gaii, Kat Gaii Re
Maaldaar Ki Jeb, Ghareeb Ki Zindagi Aur Patang
Kat Gaii, Haan Kat Gaii, Kat Gaii, Kat Gaii Re
Muft Ka Chandan, Ghis Mere Nandan, Chance Milay To Sab Ghiste Hain
Hukum Ka Ikka, Chirri Ki Duggi, Is Gaddi Mein Sab Piste Hain
- 4
Woh Bhi Tang Yahaan Pe Lallah Jis Ki Chaal Dabang
Kat Gaii, Haan Kat Gaii, Kat Gaii, Aray Kat Gaii Re
Maaldaar Ki Jeb, Ghareeb Ki Zindagi Aur Patang
Kat Gai, Haan Kat Gai, Kat Gai, Kat Gai
Kat Gaii... Kat Gaii... Kat Gaii... Kat Gaii.
Aa Ja Re Piya (Duet)
Ga Ma Pa Ga Ma Ga Sa, Ga Ma Pa Ga Ma Ga
Ga Ma Pa Ga Ma Ga, Ga Ma Pa Ga Ma Ga
- 4
Aa Ja Re Piya, Jiya Jaey Naa - 2
Sang Torrey Mere Peeche Aage Teri Parchaiyaan
Bina Dor Teri Oron Piya, Man Ki Cha Jaey Haan - 2
Aa Ja Re Piya, Jiya Jaey Naa
Aa Ja Re Piya
Jee Uthin Khawaahishain, Saans Li Jazbaaton Ne
Ab To Jagna Shuroo Kardiya Meri Raaton Ne
Main Ikhatti Karta Hun Kehne Ko Baatain Kaii
Par Tujhe Dekh Hojaati Hain Lafz Hi Laa-pata
Mujhe Hoti Khabar Tak Nahi Aur Tu Chal Jaey Na
Aa Ja Re Piya, Jiya Jaey Naa
Aa Ja Re Piya
Ab Raagon Mein Jo Basar Hai
Woh Tera Hi Asar Hai
Phir Bhi Tu Bekhabar Hai, O Piya
- 4
Kori Si Zindagi Pe Rang Kuchh Aise Charhte Hain
Haat Jese Koi Geeli Mitti Ko Garhte Hain
Aadatan Hi Sahi, Badla Hai Kuch To Kahin
Kabhi To Aankhain Band Kar Ke Bhi Dikhta Hai Sab Naya
Yun Lage Ke Jahaan Mein Nahi Koi Apne Siwa
Aa Ja Re Piya, Jiya Jaey Naa
Aa Ja Re Piya
Kitni Baatein
Hoti hai, kaisi bhala bebasi
Jaana hai, maine toh bas yeh abhi
Le chali, jaane kahaan zindagi
Kitni baatein, aadhi adhoori
Kitni baatein hain, jo tum se na keh paaya main
Mujhe mili, wahaan wafaa
Jahaan saansein hui hain khafa
Mutthi se paani ki tarah bahi
Umeedein woh teri meri sabhi
Mutthi se paani ki tarah bahi
Umeedein woh teri meri sabhi
Ab yeh manzar hai, sab banjar hai
Kya zameen, kya falak aur kya jahaan
Kitni baatein, aadhi adhoori
Kitni baatein hain, jo tum se na keh paaya main
Lamhe woh aankhon se risne lagey
Yaadon mein sab meri jo thay jamey
Lamhe woh aankhon se risne lagey
Yaadon mein sab meri jo thay jamey
Woh tadapte hain, mujhse ladte hain
Hashar hoga yeh naa tha pataa
Taan Ke Seena
Karle karle gunah, ucche hisaab na rakh
Nange chehron ki basti mein, tuhi nikaab na rakh
Jismon ke saude hone de, hone de de de de
Insaan ko beetar sone de, sone de
Jismon ke saude hone de
Insaan ko beetar sone de, sone de sone de re
Taan ke seena, ho ja kameena - 4
Laalach ki kabhi bhi jo, aazmayish hogi
O hua o ho, laalach ki kabhi bhi jo, aazmayish hogi
Tab laplapati subah ki be rab numayish hogi
Koi di bas panno pe dam todhe ge
Koi di bas panno pe dam todhe ge
Phir na insaan banne ki kuch ghunjhaish hogi
Taan ke seena, ho ja kameena - 4
Har mod pe tujhko koi, kumsarf milega
Har mod pe tujhko koi, kumsarf milega
Doondhe se bhi kahin na koi saccha harf milega
Jugnu bann ke kaale saaye chamkenge
Jugnu bann ke kaale saaye chamkenge
Muh se khaali har ik jism barf milega
Taan ke seena, ho ja kameena - 4
Kameena - 3
No comments:
Post a Comment