Khap (Songs)

Aaina Dekha

Aaina dekha toh mera chehra badal gaya
Dekhte hi dekhte kya..? kya..? badal gaya !
Baadal meri zameen par aakar tham gaye
Aayi zara si dhoop jo, saaya badal gaya
Aaina dekha toh mera chehra badal gaya

Uljhi rahi sawalon me jeene ki har khushi
Jab bujh gaye diye toh mili hai roshni
Aankhon me neend aayi toh sapna badal gaya
Dekhte hi dekhte kya..? kya..? badal gaya !
Aaina dekha toh mera chehra badal gaya

Qaid kiye thay khwab kisine neend kisi ne haari
Haar gayi hai haar kahin par jeet kahin par hari
Tarah tarah se khoob waqt bhi bhes badal ke aaya
Mili mujhe na dhoop aaj ki mila na kal ka saaya

Manzil qareeb aayi toh rasta badal gaya
Dekhte hi dekhte kya..? kya..? badal gaya !
Aaina dekha toh mera chehra badal gaya
Dekhte hi dekhte kya..? kya..? badal gaya !
Aaina dekha toh mera chehra badal gaya
kya ... kya badal gaya ...!


Tumse bichhad kar

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi
Deewane dil ko samjhana
Mumkin hai aasaan nahi

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi

Sadiyon se raasaan hai jaari
Jurm hai duniya me dildari - 2

Aisi duniya se takrana
Mumkin hai aasaan nahi

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi

Chahat par pabandi kyu hai
Duniya itni andhi kyu hai - 2

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi

Kashti yunhi chalegi kab tak
Ulti Ganga behegi kab tak - 2

Khoye huey ko phir se paana
Mumkin hai aasaan nahi

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi

Tere mere beech ki doori
Kyu dono ki hai majboori - 2

Doori ki deewar girana
Mumkin hai aasaan nahi

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi

Deewane dil ko samjhana
Mumkin hai aasaan nahi

Tumse bichhad kar tumko bhulana
Mumkin hai aasaan nahi - 3


Deewangi

Deewangi ab na kam ho
Yeh aashiqi kam na ho

Yeh bekhudi ab na kam ho
Ab yeh khushi kam na ho

Ho..Ab nahi hai dhuaan, khul gaya samaa
Ho gaya hai jawaan ab nasheela samaa

Kal ki woh dastaan
ab na dhoondo yahaan
kal ke beete nishaan

Deewangi ab na kam ho
Yeh aashiqi kam na ho
Kam na ho

Humko manzil mili humko saahil mila
Zindagi me chala pyar ka silsila

Tumne ye kya kaha humne ye kya suna
Phir dhadakane laga jhoom kar ye jiya

Gham ka sooraj dhala, phool man ka khila
Mit gaya faasla ab raha na gila

Deewangi ab na kam ho
Yeh aashiqi kam na ho

Deewangi ab na kam ho
Yeh aashiqi kam na ho
Yeh bekhudi ab na kam ho
Ab yeh khushi kam na ho

Yeh raat ki tanhaiyaan chhayi hai madhoshiyan
Sun lo zara kehti hai kya chupke se khamoshiyan
Tum ho mere humsafar jeevan ke har mod par
Jayenge ab hum kahaan
Daaman tera chhod kar

Deewangi ab na kam ho
Yeh aashiqi kam na ho
Yeh bekhudi ab na kam ho
Ab yeh khushi kam na ho


Ye Wahi To Hai Hasin Chehra

Ye Wahi To Hai Hasin Chehra
dhoondta tha dil jise mera
kyun rahe chupte nigahon se
bolo zara

chahate the dekhna hum toh
pyar karte ho hamen kitna
isliye chehra chupaya tha
samjho zara

tumko dekhe bina hi
tumko zane bina
zane ye pyar kaise
tumse mujhko huwa

hoo pyar ho chehre se
aisa toh zazuri nahi
dilmein jo aa base
lage wohi sabse haseen

kya ye sach hai jo tumne kaha
haan ye sach hai jo tumne suna

Ye Wahi To Hai Hasin Chehra

harpal main sochti hun
aisa kaise huwa
mujhmein kya tumne dekha
mujhnein aisa hai kya

woh jo tasveer teri
ankhon mein adhurisi thi
dekha jo tumhen aaj toh
puri hogayi

kya ye sach hai jo tumne kaha.......
haan ye sach hai jo tumne suna......

Ye Wahi To Hai Hasin Chehra.............

No comments:

Post a Comment