Satrangee Parachute (Songs)

01 – Zindagi Ki Raah Mein

Zindagi Ki Raah Mein Muskuraata Chal
Khushiyon Ki Chaaon Mein Gungunaata Chal
Phir Moond Aankhain Apni, Sapna Koi Aaeyga
Khule Sapnon Ke Gaaon Mein Itraata Chal

Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa
Urr Jaa, Chal Urr Jaa, Chal Urr Jaa, Chal Urr Jaa, Urr Jaa
Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa
Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa

Woh Titlee Jab Urrti Hai, Kehti Hai Yeh Kahaani
Neela Sa Ambar Hai, Thora Megh Thora Paani
Ahaan Aasmaan Ke Neeche Nannhe Nannhe Qadam Hain
Nahi Tikte Hain Zameen Pe, Mann Mein Urrne Ki Lagan Hai

Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa
Urr Jaa, Chal Urr Jaa, Chal Urr Jaa, Chal Urr Jaa, Urr Jaa
Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa
Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa

Yeh Parbat Jo Thooth Se Kharey
Jese Seerrhi Dharti Ko Aasmaan Se Jorre
Phir Maar Kar Chalaangain Ham Baadalon Se Khelain
Haath Ham Barhaeyn Aur Aasmaan Ko Chu Loon

Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa, Urr Jaa
Urr Jaa, Chal Urr Jaa, Chal Urr Jaa, Chal Urr Jaa, Urr Jaa

Tu Muskuraata Chal
Tu Gungunaata Chal - 3



02 - Mere Bachche (Lullaby)

Mere Bachche Teri Maan Yeh Roz Kahaani Sunaey
Chanda Maama, Pariyon Waali, Chain Se Tu Sojaey
- 2

Sapne Mein Phir Aey Woh Gilehri
Baghiya Mein Hai Jo Koodti Rehti
Tum Uske Peeche Bhaagte Rehte
Aur Main Tum Ko Bas Dekhti Rehti

Phir Bhi Gilehri Haath Na Aati
Dar Ke Kahin Patton Mein Chup Jaati
Bhaagam Bhaagi Mein Tum Thak Jaate
Maan Ke Aanchal Mein So Jaate
Neendon Mein Tere Phir Woh Gilehri Aa Kar Gudgudaey
Mere Bachche Teri Maan Yeh Roz Kahaani Sunaey
Chanda Maama, Pariyon Waali, Chain Se Tu Sojaey

Ek Sapna Tujh Ko Aisa Bhi Aaey
Baadalon Mein Urrta Hi Jaey
Raaja Ho Mera Beta Wahaan Par
Raani Bhi Ho Ek Choti Pari Si
Titlee Si Hansti, Choti Woh Bacchi
Tum Usko Dharti Ki Seyr Karaate
Sapnon Bhari Duniya Mein Le Jaati
Sapne Mein Tere Choti Pari Woh Aa Kar Muskuraaey
Chanda Maama, Pariyon Waali, Chain Se Tu Sojaey - 2



03 – Chal Pade Hum (Journey Song)

chal pare ham, kya thikaana? socha nahi
manzil pata hai, rasta kahaan? socha nahi
bas chal diye zid hai yeh, aankhon mein sapne bhar liye
aage hi aage bas chal diye
chal pare ham, kya thikaana? socha nahi
manzil pata hai, rasta kahaan? socha nahi

raaste yeh saath chalte terrhi merrhi zindagi ke
yaadain bhi hain puraani, aane waale pal khushi ke
.....repeat
sochta hai mann yeh mera, aasmaan mein urrna chaahe
choona chaahe chaand taare, sapne dekhe kitne saare
chalte chalte rukna kahaan, socha nahi
bas chal diye zid hai yeh, aankhon mein sapne bhar liye
aage hi aage bas chal diye

zindagi ke is safar mein rang dekho kitne saare
khushiyaan chun lo jitni milti, phir na honge yeh nazaare
.....repeat
aashaaon ki dor pakre, mann mein itna zor karle
muskura ke, khil-khila ke, aandhi toofaan se guzar le
pankh mil gaey, urrna kahaan? socha nahi
behte behte thamna kahaan? socha nahi
bas chal diye zid hai yeh, aankhon mein sapne bhar liye
aage hi aage bas chal diye

chal pare ham, kya thikaana? socha nahi
manzil pata hai, rasta kahaan? socha nahi


04 - Tere Hasne Se

tere hansne se mujh ko aati hai hansi
teri saari baatain chup chaap main sunti
- 2

aisa lage tere bina kuch bhi nahi kuch bhi nahi
aisa lage tu hai dua, meri khushi
tere hansne se mujh ko aati hai hansi
teri saari baatain chup chaap main sunti

teri ungli pakar kar chalna seekha main ne
girte uthte gir kar sambhalna seekha main ne
mere sapnon mein jo rang hai, tu hi laaya hai
tu ne pankh diye aur urrna seekha main ne
aisa lage tere bina kuch bhi nahi kuch bhi nahi
aisa lage tu hai dua, meri khushi
tere hansne se mujh ko aati hai hansi
teri saari baatain chup chaap main sunti

dhoondti hun tujh ko phir bhi na paati hun
tu hai bas mera aur main teri saathi hun
tere jaane se chaaya phir andhera hai
sapnon se bhi ab main dar dar jaati hun
aisa lage tere bina kuch bhi nahi kuch bhi nahi
aa bhi jaa, ab aa bhi jaa, tu hi meri roshni roshni roshni

tere hansne se mujh ko aati hai hansi
teri saari baatain chup chaap main sunti
- 2

aisa lage tere bina kuch bhi nahi kuch bhi nahi
aisa lage tu hai dua, meri khushi
tere hansne se mujh ko aati hai hansi
teri saari baatain chup chaap main sunti


05 – Teri Lori

teri lori yaad hai aati, tere bina main so na paaoun
kesa hai najaane andhera, dekho main dar dar jaaoun
- 2

uth ke dhoondun chaaron taraf main, tujh ko phir bhi dekh na paaoun
main jo tujh se door hun itna, kese tere paas main aaoun
maan...!
teri lori yaad hai aati, tere bina main so na paaoun
kesa hai najaane andhera, dekho main dar dar jaaoun

tu bethi hogi khaane ki thaali, chawal ke laddu us pe saja ke
aankhain teri roti hongi aane ki meri aas laga ke
aahat sun kar tu jaagti hogi mere qadmon ki rasoi se aati
bhaagti hogi phir kone kone, ruk jaati hogi mujh ko na paa ke
maan...!
teri lori yaad hai aati, tere bina main so na paaoun
kesa hai najaane andhera, dekho main dar dar jaaoun

deewaaron par latki patangain urr jaane ko bechain hongi
charkhi par jo dhool jami hai dhaage par woh ghisti hogi
galiyaan khaali, raste chup honge, peyrron par jhoole roothe honge
mera tukra aasmaan ka rota hoga
maan...!
mere aansu us mein miley hain, kese un ko bolo chupaaoun


06 – Udd Jaa Udd Jaa

kabhi lage haathon ko chu kar khushi urr gai
kabhi lage kabhi na aeygi haath yeh manchili
kabhi chu loon, kabhi paa loon
kabhi aankhain moond koi sapna dekh loon
kabhi chalun, kabhi dorrun
kabhi urrne ki khuwahishain dil mein rakh loon
urr jaa, urr jaa, urr jaa, oonche aasmaan ko chu jaa
jee jaa, jee jaa, jee jaa, apne sapnon ko tu jee jaa
urr jaa...

choti hai zindagi, chaahatain kai hazaar
sooraj se roshni, chaand se maanga hai pyaar
kabhi hansna kabhi rona
kabhi har aik lamhe se jeetna
kabhi paana kabhi khona
kabhi haathon ki yeh lakeerain morrna
urr jaa, urr jaa, urr jaa, oonche aasmaan ko chu jaa
jee jaa, jee jaa, jee jaa, apne sapnon ko tu jee jaa
urr jaa...

jeena hai jee bhar to sun lo baatain mere yaar
pankh jo dil ke hain rakho un pe tum vishwaas
kabhi aandhi kabhi toofaan
kabhi waqt ke imtehaan beshumaar
kabhi sehra kabhi saagar
kabhi dhundla hoga manzar baar baar
urr jaa, urr jaa, urr jaa, toofaanon ko tu aazmaa
jee jaa, jee jaa, jee jaa, har dharkan ko aaj jee jaa

urr jaa, urr jaa, urr jaa, oonche aasmaan ko chu jaa
jee jaa, jee jaa, jee jaa, apne sapnon ko tu jee jaa
urr jaa...


07 - Mere Paas Aao

I am dreaming
come on, dream with me
come on...

hey mere paas aao na, betho yahaan pe
you my those on tune
I'm gonna make this come true for you
come on

mere paas aao mere dosto, aik qissa suno
move it, groove it
mere paas aao mere dosto, aik qissa suno
hey hey groove it
sapne jo dekhe khuli aankhon se, aisa tha woh
kesa tha woh?
hansta hansaata, dilon ko lubhaata
urrne ke sapnon ko mann mein sajaata
aisa tha woh...

hmmm...
dream to fly
fly high... and high...
and don't ask me why
I wanna touch this sky
we gotta a dream man
come on
let's try, one more time
come on... dream man
oh yeah... let's go... let's go

ghane jangalon se guzarta huwa kahin jaa raha tha
achaa...?
ghane jangalon se guzarta huwa kahin jaa raha tha
to?
nahi, jaa nahi, aa raha tha...
ufff...
nahi nahi, jaa raha tha
aray aage bhi to bolo naa
okay... ok...
chala jaa raha tha woh darta huwa
hanumaan jaali sa barhta huwa
....
aray aisa tha woh, aisa tha woh, aisa tha woh
everybody...
sing with me...

mere paas aao mere dosto, aik qissa suno - 3

No comments:

Post a Comment