Gandhi to Hitler (Songs)

Ye Jazba Hamara

aur ye hai
hamara Hindustan...
jahaan ghulaami ki zanjeer
kaatne ko tatpar hain,
Azad Hind Fauj ke jawaan...
spandan heen, hridye mein josh,
nayaa bharna hai aaj,
matrabhoomi ki parbarish ka karz,
ada karna hai aaja,
shaheedon ke lahooluhaan kadam,
pade jin raaho par,
un raahon par ban karphool,
kadmo tale bikhrna hai aaj...

ye jazba hamara hai azaadi ka
in goron ki jashn-e-barbaadi ka
ye jazba hamara hai azaadi ka
in goron ki jashn-e-barbaadi ka
kadam kadam milana hai
aage badhte jaana hai
aage badhte jaana hai
ye jazba hamara hai azaadi ka
in goron ki jashn-e-barbaadi ka
ye jazba hamara hai azaadi ka
in goron ki jashn-e-barbaadi ka
kadam kadam milana hai
aage badhte jaana hai
aage badhte jaana hai
toofano ki fikar nahi
aandhiyo ka darr nahi
kate bhel ye sir magar
isse nahi jhukaana hai

toofano ki fikar nahi
aandhiyo ka darr nahi
kate bhel ye sir magar
isse nahi jhukaana hai
kadam kadam milana hai
aage badhte jaana hai
aage badhte jaana hai
kadam kadam milana hai
aage badhte jaana hai
aage badhte jaana hai
iraade pe yakeen kar
haq lenge chheen kar
sir pe sehra jeet ka
har haal mein sajaana hai
iraade pe yakeen kar
haq lenge chheen kar
sir pe sehra jeet ka
har haal mein sajaana hai
kadam kadam milana hai
aage badhte jaana hai
aage badhte jaana hai
kadam kadam milana hai
aage badhte jaana hai
aage badhte jaana hai
pukaarti hai dharti ma
qaid se karo riha
lahoo jigar se deke bhi
jo khoya hai vo paana hai
pukaarti hai dharti ma
qaid se karo riha
lahoo jigar se deke bhi
jo khoya hai vo paana hai
kadam kadam milana hai
aage badhte jaana hai
aage badhte jaana hai
kadam kadam milana hai
aage badhte jaana hai
aage badhte jaana hai
ye jazba hamara hai azaadi ka
in goron ki jashn-e-barbaadi ka
ye jazba hamara hai azaadi ka
in goron ki jashn-e-barbaadi ka
kadam kadam milana hai
aage badhte jaana hai
aage badhte jaana hai
kadam kadam milana hai
aage badhte jaana hai
aage badhte jaana hai


Har Ore Tabhai Ka Manzar

Dwiteeya vishwayuddh ka kaal
Bhukhmari aur Tabahi si thi Janta Behaal
Germany ke takht par betha tha jo hukmaran
Kara raha tha muhaiyya logo ko maut ka saamaan
Baarood ke dher pe sulag rahi thi Qayanat
Jab khaak mein mil jayega sab
toh kiski jeet aur kaisi maat
Dhamake ki goonj mein gum ho rahi kilkariyan
Chal rahi ho mano maut ke jashn ki taiyyariyan

Har ore tabahi ka manzar
Har ore tabahi ka manzar
Garja vinaash ka badal hai
aa...
Har ore tabahi ka manzar
Garja vinaash ka badal hai
Kahin sehma-sehma bachpan hai
Kahin rota maa ka aanchal hai

Jo chale jeetne duniya ko
kya khabar nahi hai ye unko
Jo chale jeetne duniya ko
kya khabar nahi hai ye unko
Jab jang jeet ke aayenge
sab kuch namu paayenge

Kahin sooni sooni basti hai
Kahin sooni sooni basti hai
Kahin ujda ghar ka aangan hai
Kahin sehma-sehma bachpan hai
Kahin rota maa ka aanchal hai

Bhedbhaav jo karte hain
Bhagwan se kyun nahi darte hain
Bhedbhaav jo karte hain
Bhagwan se kyun nahi darte hain

Jo Insaan bankar aaya hai
Rang laal lahu ka paya hai
Kahin qatra qatra zakhmi hai
Kahin qatra qatra zakhmi hai
Kahin zarra zarra ghayal hai
Kahin sehma-sehma bachpan hai
Kahin rota maa ka aanchal hai

Ant jab yahi hona tha
Toh kis baat ka rona tha
Ant jab yahi hona tha
Toh kis baat ka rona tha
Takht kahaan, kahaan taj gaya
Kal bhi na mila aur aaj gaya

Kahin sapna chaknachoor hua
Taqat ka nasha kafoor hua

Jo Bo'oge so kaatoge
Jo Bo'oge so kaatoge
Dastoor ye ab bhi kaayam hai
Kahin sehma-sehma bachpan hai
Kahin rota maa ka aanchal hai
Har ore tabahi ka manzar
Garja vinaash ka badal hai
Kahin sehma-sehma bachpan hai
Kahin rota maa ka aanchal hai

Kahin rota maa ka aanchal hai..
Kahin rota maa ka aanchal hai..


Vaishnav Jan To

Jai Ram Ram...
Vaishnav jan to tene kahiye je
Peer paraayi jaane re
Dukh dooje ka harkar bhi
Abhiman na mann me aane re

Jai Ram Ram...
Jan-manas ki jo kare Badhai
Jan-manas ki jo kare Badhai
Na kare kabhi buraai re

Vachan, karam, mann paawan jinke
Dhanya hai unki maai re

Jai Ram Ram.....
Lobh tyag sab ko sam dekhe
Lobh tyag sab ko sam dekhe
Par-Naari ko maa maane re
Jeevha kate par jhooth na bole
Par-Dhan ko meetti jaane re
Vaishnav jan to tene kahiye je
Peer paraayi jaane re

Moh-Maya se pare rahe jo
Moh-Maya se pare rahe jo
Vairagya ho jinke mann me re

Ram naam ki mad me pagal
Har teerth basa ho tann me re

Vaishnav jan to tene kahiye je
Peer paraayi jaane re

Jai Ram Ram...
Lobh se door ho
Kapat rahit
Jinhe Kaam krodh na vyape re
Kavi Narsi darshan abhilashi
Jo kul ko moksh dilaye re

Vaishnav jan to tene kahiye je
Peer paraayi jaane re

Jai Ram Ram......

No comments:

Post a Comment