Singham (Songs)

01 – Singham

mann bhanwar uthe tann sihar uthe jab khabar uthe ke aawe singham
na agan jale na magan jale bas kehar chale jab aawe singham

buron ko khench ke khench ke dhul dabeech ke lehpath padh jaaye
bhalon ko kheench ke kheench ke baanhon mein bhich ke jappi mil jaaye
na kisi se yeh kam bada iss mein hai dum nar singh hai yeh singham
mann bhanwar uthe tann sihar uthe jab khabar uthe ke aawe singham

na agan jale na magan jale bas kehar chale jab aawe singham

dil toh sacha hai iss dil mein rakh luin
sapna accha hai palkon se dhakloo
dil vil se toh hai yeh ek baccha sharaarat karta hi phire
agar kabhi samjhe iss ko koi kaccha ghusa hi mile
taaza hai hawa ka yeh jhoka yahan wahan behta hi phire
agar kabhi isska raasta roka tufan sar chade
buron ko khench ke khench ke dhul dabich ke lehpath padh jaaye
bhalon ko kheench ke kheench ke baanhon mein bheech ke jappi mil jaaye
na kisi se yeh kam bada iss mein hai dum nar singh hai yeh singham
mann bhanwar uthe tann sihar uthe jab khabar uthe ke aawe singham

yeh na sataka hai raste se katlo tagda jhatka hai dum hai toh chakh lo
atrangi hai josh mein chalta bahon mein bijli si chale
bisre sholay sholay dushman toh raakh mein jaa miley
jaise koi sher sehra mein chalta saara jag raundta chale
yaaron bus ladhne ka isse chaska parbat se bhide
buron ko khench ke khench ke dhul dabich ke lehpath padh jaaye
bhalon ko kheench ke kheench ke baanhon mein bheech ke jappi mil jaaye
na kisi se yeh kam bada iss mein hai dum nar singh hai yeh singham
mann bhanwar uthe tann sihar uthe jab khabar uthe ke aawe singham
singham.......


02 - Saathiyaa

saathiyaa saathiyaa pagle se dil ne yeh kya kiya
chun liya chun liya tujhko deewane ne chun liya
dil toh uda uda re aasman mein badalon ke sang
yeh toh machal machal ke ga raha hai sunn nayi si dhun
(badmash dil toh thag hai bada badmash dil yeh tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada) - 2

achi lagey dil ko mere har teri baat re
saaya tera ban ke chalun etna hai khwaab re
kaandhe pe sar rakh ke tere kat jaaye raat re
bitenge din thaame tere haathon mein haath re
yeh kya hua mujhe mera yeh dil fisal fisal gaya
yeh kya hua mujhe mera jahaan badal badal gaya
(badmash dil toh thag hai bada badmash dil yeh tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada) - 2

nindhein nahin chaina nahin badlun mein karwatein
taare ginu ya main ginu chaadar ke sarwatein
yaadon mein tu khwaabon mein tu teri hi chahatein
jaaon jidhar dhunda karuin teri hi aahatein
yeh jo hai dil mera yeh dil suna na keh raha yahi
woh bhi kya zindagi hai zindagi ki jis mein tu nahin
badmash dil toh thag hai bada badmash dil yeh tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada
saathiyaa saathiyaa pagle se dil ne yeh kya kiya
chun liya chun liyaa tujhko deewane ne chun liya
dil toh uda uda re aasman mein badalon ke sang
yeh toh machal machal ke gaa raha hai sunn nayi si dhun
(badmash dil toh thag hai bada badmash dil yeh tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada) - 2


03 - Maula Maula

Roshan hai yeh zameen aasmaan sab ishq ke dum se
Dhalte hai din aur raat ishq ke hi dum se

Khushiyon ke beshumaar behisaab se sikke khanke
Dil ki ab har muraad ishq ke hi dum se

Tu hai mera khuda, ab na hona juda
Karde karam ke dil yeh chain paayega
Maula maula re, shukar tera maula re
Rubaru hua hai mera yaar
Hoo maula maula re, shukar tera maula re
Rubaru hua hai mera yaar

Hoo sajde mein tere hi jhuk jaaun main sada
Teri hi bahoon mein ho jaaun laapata
Chayyian ho dhoop ho, rasta bhi ho naya
Humko ab kaisa darr, sang jo hai tu chala

Hoo ab tere saare hi gum hai mere
Ab meri khushiyan teri hai sada

Tu hai mera khuda, ab na hona juda
Karde karam ke dil yeh chain paayega
Maula maula re, shukar tera maula re
Rubaru hua hai mera yaar
Hoo maula maula re, shukar tera maula re
Rubaru hua hai mera yaar

Roshan hai yeh zameen aasmaan sab ishq ke dum se
Dhalte hai din aur raat ishq ke hi dum se

Hoo khushiyon ke beshumaar behisaab se sikke khanke
Dil ki ab har muraad ishq ke hi dum se

Hoo tu hai mera khuda, ab na hona juda
Karde karam ke dil yeh chain paayega
Maula maula re, shukar tera maula re
Rubaru hua hai mera yaar
Hoo maula maula re, shukar tera maula re
Rubaru hua hai mera yaar

No comments:

Post a Comment