Lanka (Songs)

Aap Ki Aahat

Tere bina...Tere bina...

Aap ki aahat, rift-e-chahat
Lamha lamha pal-pal raahat
Dil-e-Betaab me aao - 2

Neendon ki uljhan
Khwabon ki salwatein chhoo ke zara dekh loo
Saanson ki sargamein
Hothon ki thirkane
Kehti hai kuch bol do
Zindagi ko thikana mile
Pyar tera jo utre gale
Sooni-sooni wafaa
Dil-e-Betaab mein aao

Aa...
Mere lab keh rahe hain meri daastan
Ban raha hai muhabbat ka silsila meherbaan
Dil-e-Betaab mein aao

Aap ki aahat, rift-e-chahat
Lamha-lamha pal-pal raahat
Dil-e-Betaab me aao - 2


Ehsaano Tale

ehsaano tale bebas si hai ye hawaayein
ghul rahi hai saanson mein
jese zeher si hawaayein
ehsaano tale bebas si hai ye hawaayein
ghul rahi hai saanson mein
jese zeher si hawaayein

bemaani si zindagi jee rahe hai hum
hai raat si har khusi hai
barham hai hum

barham hai hum
barham hai hum
barham hai hum
barham hai hum

agar gunaahgaar hu main
mujrim nahi tu bhi kam
khaamosh main bhi dekhun
chup tu bhi dekhe sitam
tu to bhala dara khuda kyun hai
bebas tu ese
tu bhi vahin main bhi vahin
dono mitti ke jese
toote hai is dil ke saare bharam

barham hai hum
theraate ja rahe sitam
barham hai hum
sehera na hota ye khatam
barham hai hum
tera sawaare hai bharam
barham hai hum

kyun bekhabar hai ese
khud ke jahaan se hi tu
tera likha na bhaaye
sunle khuda aab ye tu
man ye mera mujhse kahe
door chalde yahan se
na ho koi naata tere
dard ke is jahaan se
toote hain saare beroharam

barham hai hum
theraate ja rahe sitam
barham hai hum
sehera na hota ye khatam
barham hai hum
tera sawaare hai bharam

tujhse kya chupa
tu to hai khuda
insaan ban ke dekh (barham hai hum)
jeene ke liye
marte hum rahein
tu bhi mar ke dekh (barham hai hum)
khuda jo ho humein tere sang karlu lakeerein
nahi banu mera khuda sab ho meri daleelein
chaahoon na aab tere rahem-o-karam

ehsaano tale
ghul rahi hai saanson mein
aa..


Sheet Leher Hai

sheet leher hai, bheege se par hai
thodi si dhoop maangi hai
aankhon bhar hai, neela gagan aur
therha hua kuch paani hai
sheet leher hai

sunsaan raahon pe kyun
sharam-saar saaye hain
baduwa si lagti hai kyun
kosti hawaayein hain
humse kya gunah hua hai
kesi ye sajaayein hain

bheegi nazar hai, shaamo seher hai
thodi si kher maangi hai
ho..aankhon bhar hai, neela gagan aur
therha hua kuch paani hai
sheet leher hai

tinka tinka raat uudhedo
din aazad hai khedo na
bheetar bheetar kitni uumas hai
thodi saansein de do na

thode thode par hain bhole
kuch aakash bhi de do na
bheetar bheetar kitni uumas hai
thodi saansein de do na
thodi saansein de do na

gumsum pahaadon mein jab
suraj ye dhalta hai
khare khare aansuuon se
jakham aur jalta hai
hoo.

gumsum pahaadon mein jab
suraj ye dhalta hai
khare khare aansuuon se
jakham aur jalta hai
terta hai raaston pe
ek dhuuan sa khalta hai

lamba safar hai, bisari dagar hai
thodi si raah maangi hai
aankhon bhar hai, neela gagan aur
therha hua kuch paani hai
sheet leher hai


Sheet Leher Hai - Tia

sheet leher hai, bheege se par hai
thodi si dhoop maangi hai
aankhon bhar hai, neela gagan aur
therha hua kuch paani hai
sheet leher hai

sunsaan raahon pe kyun
sharam-saar saaye hain
baduwa si lagti hai kyun
kosti hawaayein hain
humse kya gunah hua hai
kesi ye sajaayein hain

bheegi nazar hai, shaamo seher hai
thodi si kher maangi hai
ho..aankhon bhar hai, neela gagan aur
therha hua kuch paani hai
sheet leher hai

tinka tinka raat uudhedo
din aazad hai khedo na
bheetar bheetar kitni uumas hai
thodi saansein de do na

thode thode par hain bhole
kuch aakash bhi de do na
bheetar bheetar kitni uumas hai
thodi saansein de do na
thodi saansein de do na

gumsum pahaadon mein jab
suraj ye dhalta hai
khare khare aansuuon se
jakham aur jalta hai
hoo.

gumsum pahaadon mein jab
suraj ye dhalta hai
khare khare aansuuon se
jakham aur jalta hai
terta hai raaston pe
ek dhuuan sa khalta hai

lamba safar hai, bisari dagar hai
thodi si raah maangi hai
aankhon bhar hai, neela gagan aur
therha hua kuch paani hai
sheet leher hai


Tu Hai Tu

tu hai tu
fir kyun hai nam aankhein meri
main kabse tanha hun
duniya mein teri

tu hai tu
fir kyun hai nam aankhein meri
main kabse tanha hun
duniya mein teri

qubool.
maula mere, kar dil ki dua azaad
qubool.
kar meri hifazat, ese na tadpaa..

samne tere, dard hai mere
rhemat ke badal de barsa
qubool.
maula mere, kar dil ki dua azaad
qubool.
kar meri hifazat, ese na tadpaa..

likh ke tu hi pad na paye
teri hi takdeerein
rangon ne hi meli kar di
hi teri tasveerein

aa.likh ke tu hi pad na paye
teri hi takdeerein
rangon ne hi meli kar di
hi teri tasveerein
oye rabba jaane tu sab
fir kyun hai chup betha ho..

qubool.
maula mere, kar dil ki dua azaad
qubool.
kar meri hifazat, ese na tadpaa..

kon kese saansein lega
seene mein hai khanjar
bat se bater ho rahe hain
is jahan ke manjar

aa kon kese saansein lega
seene mein hai khanjar
bat se bater ho rahe hain
is jahan ke manjar
hoye rabba
kyun aankhon pe hai tere ye parda

qubool.
maula mere, kar dil ki dua azaad
qubool.
kar meri hifazat, ese na tadpaa..

tere jahaan se door chala hun
sunle mera ye fesla
aa..aa.


Tumko Jo Dekhoon

tumko jo dekhoon, main palkein bichaoon
raahon mein teri, ye duniya sajaoon
tumse hi milke, umange jagi hain
har pal mahekaayein, han tu vahin hai

har lamha chahata hoon
duniya se maangta hoon
sunle meri ye intija

meri bahon ke sahare
vo pal jo sang gujaare
baahon mein meri aa bhi ja
vo..vo..

uulfat ki raahon mein tu hi aaye nazar
khushiyon ka mausam hai tujhse oo humsafar
inn baaton mein, din raaton mein
har pal hai ye chahat ka asar

umeedon ke safar mein
tujhe dhoondu har nazar mein
sunle meri ye intija

meri bahon ke sahare
vo pal jo sang gujaare
baahon mein meri aa bhi ja

chaaya ye mujhpe, kesa ye asar hai
yaadon mein teri, aab mera basar hai
pheli mahoobat ka ehsaas tu hai
khawaabon mein aaye, han tu wahi hai

har lamha chahata hoon
duniya se maangta hoon
sunle meri ye intija

meri bahon ke sahare
vo pal jo sang gujaare
baahon mein meri aa bhi ja
vo..vo..
vo..vo..

No comments:

Post a Comment