Love Breakups Zindagi (Songs)

Rozaana

har pal hai jawan har lamha haseen hai
jahan hum hain wahan koi gum nahin hai
yeh jo hai jindagi khushiyon mein dubi hai
hum toh yunhi jitay hain
rozana subah leke aati hai roshni
rozana hai shaam laati dilkashi
jaagi si zindagi hai yeh gaati zindagi hai
jaagi si zindagi hai rozana..
rango ki baarishein hai aisi nawazishein hain
rango ki baarishein hai rozana..

dil chahta hai har pal muskraane ko
koi dhun haule haule gungunaane ko
jo bhi mila hai usko dost hi samjho
zindagi jashn hai jaise manaane ko
jo bhi suna usse khushkhabri jaana
woh o o khushiyon ko humne pehchaana rozaana
rozana subah leke aati hai roshni
rozana hai shaam laati dilkashi
yehi hai kahaani apni yehi zindgaani apni
yehi hai kahaani apni rozaana...
rango ki baarishein hai aisi nawazishein hain
rango ki baarishein hai rozaana..

phulon mein khushbu kaliyon mein rang jaise
hum mein hai jeenay ki ek umang jaise
umeedon ki hai buji ragini si
dil mein hai har nayi ek tarak jaise
sapano ka jahaan hai jaana pehchaano
ek naya hai sapna dekha rozaana
rozana subah leke aati hai roshni
rozana hai shaam laati dilkashi
bas hai yehi tamasha har pal hai yeh aasha
bas hai yehi tamasha rozaana
rango ki baarishein hai aisi nawazishein hain
rango ki baarishein hai rozaana......


Love Love Love

(jaage jaage soye soye hum rahe zara zara khoye khoye hum rahe
chahaton ke dil mein doobaye rahe love love love kya cheej hai) - 2
rang hawa main khushbu hai baaton mein
kitani narmi hai mausam ke haathon mein
(jaan in love love love love kyun ho jaata hai
tumko jo pata ho toh bata do main toh jaanu na) - 2

jaanu na kya yeh pyaar hai
can you feel it tell me love love

saanson mein hai jaise jazbaat se ghule
aankhon mein hai tere sapne ke bulbule
naya naya sa hai andaaz shaam ka
saara yeh samaa hai iss dil ke kaam ka
rang hawa mein khushbu hai baaton mein
kitni narami hai mausam ke haathon mein
(jaan in love love love love kyun ho jaata hai
tumko jo pata ho toh bata do main toh jaanu na) - 2

ho dhadkan dhadkan kuch gaa raha hai dil
tum jo saath ho toh behka raha hai dil
dekho dekho tumko kuch hosh bhi rahe
dil se yeh kehdo khamosh bhi rahe
rang hawa mein khushbu hai baaton mein
kitni narami hai mausam ke haathon mein
(jaan in love love love love kyun ho jaata hai
tumko jo pata ho toh bata do main toh jaanu na) - 2
main toh jaanu na love love love kya cheej hai


Chhayee Hai Tanhayee

chhayi hai tanhayee tu na jaane
saja hai yeh kyun payi kon jaane
suni hai raahein soni hai baahein suni nighaahein
(jisko hai kho jaana woh milta hi kyon hai
dil ko hai murjaana toh dil wahi kyon hai) - 2

dil dekho zara haye kya tha kya ho gaya
haye tum meharbaan thaye humshaadma thaye
mehaki thi dil ki waadiyan
ho ho chaahat bari woh aankhein rass mein dubi woh baatein
kho gayi jaane kahan
palkon ke thay jo saaye kyun ho gaye paraaye
kyun aa gayi dooriyan
(jis ko hai kho jaana woh milta hi kyon hai
dil ko hai murjaana woh khilta hi kyon hai) - 2
suni hai raahein soni hai baahein
suni nighaahein chayi hai tanhayee
kyun na jaane sajaa yeh hai kyun payi kaun jaane


Rab Rakha

rab rakha - 6
yeh khushi yeh khushi ka samaa dil mein gunji hai shehnaaiyan
yeh haseen yeh dilnasheen ek mohabbat ki hai jo dastaan
rab rakha - 6
(celebrate the feeling for a day and evening
beautiful hearts are beating love is in the air) - 2

koi puche aankhon ne aankhon se kya keh diya kya sunn liya
keh de na chup ke se dono ne hai chun liya ek saathiya
yeh reshmi se pal yeh naram si hulchul
yeh sapno ke badaal rab rakha
ho yeh hasin yeh dilnashin
ek mohabbat ki hai jo dastaan
rab rakha - 6
maahi sahguna manaaya hai bajade sang dhol shehnaaiyan
mainu mil gaya mera ranjheya te rabba khair maniyaan hayye
nachle yeh dil mera kahi da
o aaja nachle yeh dil mera kahi da saath tera bas chahida
o goriye saath tera bas chaahida
o mere naal tu aa haye o zara taal mila haye
nachle yeh dil mera kahi da
o aaja nachle yeh dil mera kahi da
tumko yun jo dekhun jaane kyun mera jiya dhadke piya
mehaki si lehaki si dehaki si main hoon piya yeh kya kiya
yeh husn aur yeh tu yeh kaanch yeh khushbu
yeh roop yeh jadu rab rakha yeh hasin yeh dilnashin
ek mohabbat ki hai jo dastaan (rab rakha) - 6

No comments:

Post a Comment